Ahmad Mushtaq

hath se napta hun dard ki gahrai ko

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
haath se nāptā huuñ dard kī gahrā.ī ko
ye nayā khel milā hai mirī tanhā.ī ko
thā jo siine meñ charāġh-e-dil-pur-ḳhūñ na rahā
chāTiye baiTh ke ab sabr o shakebā.ī ko
dil-e-afsurda kisī tarah bahaltā hī nahīñ
kyā kareñ aap kī is hausla-afzā.ī ko
ḳhair badnām to pahle bhī bahut the lekin
tujh se milnā thā ki par lag ga.e rusvā.ī ko
nigah-e-nāz na milte hue ghabrā ham se
ham mohabbat nahīñ kahne ke shanāsā.ī ko
dil hai nairañgi-e-ayyām pe hairāñ ab tak
itnī sī baat bhī mālūm nahīñ bhaa.ī ko
Top Urdushayar.com