Ahmad Mushtaq

kahin ummid si hai dil ke nihan KHane mein

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
kahīñ ummīd sī hai dil ke nihāñ ḳhāne meñ
abhī kuchh vaqt lagegā use samjhāne meñ
mausam-e-gul ho ki patjhaḌ ho balā se apnī
ham ki shāmil haiñ na khilne meñ na murjhāne meñ
ham se maḳhfī nahīñ kuchh rahguzar-e-shauq kā haal
ham ne ik umr guzārī hai havā khāne meñ
hai yūñhī ghūmte rahne kā maza hī kuchh aur
aisī lazzat na pahuñchne meñ na rah jaane meñ
na.e dīvānoñ ko dekheñ to ḳhushī hotī hai
ham bhī aise hī the jab aa.e the vīrāne meñ
mausamoñ kā koī mahram ho to us se pūchho
kitne patjhaḌ abhī baaqī haiñ bahār aane meñ
Top Urdushayar.com