le ke ham-rāh chhalakte hue paimāne ko
aan pahuñchī hai ye saa.at bhī guzar jaane ko
haañ ise rah-guzar-e-ḳhanda-e-gul kahte haiñ
haañ yahī raah nikal jaatī hai vīrāne ko
fā.eda bhī koī jal jal ke mare jaane se
kaun is sham.a se raushan kare parvāne ko
sañg uThānā to baḌī baat hai ab shahr ke log
aañkh uThā kar bhī nahīñ dekhte dīvāne ko
kal bhī dekhā thā unheñ aaj bhī darshan hoñge
hasb-e-ma.amūl vo nikleñge havā khāne ko