jo puure hone se rah ga.e the vo ḳhvāb rakkhe hue haiñ ghar meñ
yaqīn maano purānī rut ke gulāb rakkhe hue haiñ ghar meñ
tumhāre lafzoñ kī dhīmī ḳhushbū havās-e-ḳhamsa ko nochtī hai
ḳhatoñ kī sūrat meñ sach kahūñ to azaab rakkhe hue haiñ ghar meñ
visāl lamhoñ kā goshvāra alag se likkhā hai diary meñ
alag se furqat kī bebasī ke hisāb rakkhe hue haiñ ghar meñ
hameñ paḌhānā hai apne bachchoñ ko apnī nasleñ sañvārnī haiñ
isī liye to ham apnī hālat ḳharāb rakkhe hue haiñ ghar meñ