Mohammad Mubashshir Mayo

isi liye tujhe deta hun dad nafrat ki

Mohammad Mubashshir Mayo

Sialkot, Punjab, Pakistan

1993
isī liye tujhe detā huuñ daad nafrat kī
ki tū ne ishq se pur-e'timād nafrat kī
koī na dil se kisī ko nikāl kar pheñke
kabhī na puurī ho maulā murād nafrat kī
kabhī kabhī vo mujhe pyaar itnā detā thā
kabhī kabhī bahut aatī thī yaad nafrat kī
gulāb suukh ga.e haiñ hue haiñ ḳhaar hare
havas ne pyaar meñ Daalī hai khaad nafrat kī
ye dost barsar-e-paikār hone lag ga.e haiñ
to vaj.h banñe lagī hai fasād nafrat kī
us ek shaḳhs ko chāhūñgā tā-dam-e-āḳhir
vo jis ne mujh se mohabbat ke ba.ad nafrat kī
na koī tiir na sāzish na tohmateñ na hasad
kisī ne mujh se baḌī be-svād nafrat kī
ki us kā dard mohabbat ke dukh se thoḌā hai
ye baat achchhī hai is nā-murād nafrat kī
maiñ is liye bhī mohabbat se baaz aa gayā thā
ki us ke shahr meñ miltī thī daad nafrat kī
Top Urdushayar.com