Ahmad Mushtaq

duniya mein suragh-e-rah-e-duniya nahin milta

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
duniyā meñ surāġh-e-rah-e-duniyā nahīñ miltā
dariyā meñ utar jaa.eñ to dariyā nahīñ miltā
baaqī to mukammal hai tamannā kī imārat
ik guzre hue vaqt kā shīsha nahīñ miltā
jaate hue har chiiz yahīñ chhoḌ gayā thā
lauTā huuñ to ik dhuup kā TukḌā nahīñ miltā
jo dil meñ samā.e the vo ab shāmil-e-dil haiñ
is aa.ine meñ aks kisī kā nahīñ miltā
tū ne hī to chāhā thā ki miltā rahūñ tujh se
terī yahī marzī hai to achchhā nahīñ miltā
dil meñ to dhaḌakne kī sadā bhī nahīñ 'mushtāq'
raste meñ hai vo bhiiḌ ki rasta nahīñ miltā
Top Urdushayar.com