Mohammad Mubashshir Mayo

jo mujhko dikhaya gaya tarik ziyaada

Mohammad Mubashshir Mayo

Sialkot, Punjab, Pakistan

1993
jo mujh ko dikhāyā gayā tārīk ziyāda
rahtā huuñ usī ḳhvāb ke nazdīk ziyāda
ye pahuñche hue log bahut pahuñche haiñ shāyad
lete haiñ ye auroñ se zarā bhiik ziyāda
ai chashm-e-ġharībāñ yuuñ pareshāñ na huā kar
tū pahle hī rahtī nahīñ kuchh Thiik ziyāda
maiñ ḳhvāb meñ bhī ḳhvāb na dekhūñgā kisī ke
is kār-e-aziyyat meñ hai taz.hīk ziyāda
maġhrib-zadā sochoñ kī tijārat meñ paḌe log
bārīk ko karne lage bārīk ziyāda
mai-ḳhānoñ kī raunaq ye batātī hai 'mubasshir'
chaltī nahīñ dīvānoñ kī tahrīk ziyāda
Top Urdushayar.com