kisī kī ḳhush-rañg guftugū kī miThās sheroñ meñ Dhal ga.ī hai
hamārī āñkhoñ ke ḳhvāb-dāñ se tumhārī sūrat nikal ga.ī hai
hamārā kyā hai hamārī sochoñ ko noch khā.eñge ye parinde
hamārī chaupāl ke shajar ko ġhulām dīmak nigal ga.ī hai
koī batāo ki ahl-e-fan ke zamīr murda hue haiñ kab se
ki is galī ke ġharīb bachchoñ ke saath ġhurbat bhī pal ga.ī hai
usī kā jurm ab usī kī izzat ke saath khilvāḌ kar rahā hai
usī kī tāqat amīr-zāde ke muñh pe kālak sī mal ga.ī hai
guzishta shab mere paas baiThā tumhārā ġham mujh pe hañs rahā thā
vo kah rahā thā ki duur jā kar tumhārī paglī badal ga.ī hai