chhatrī lagā ke ghar se nikalne lage haiñ ham
ab kitnī ehtiyāt se chalne lage haiñ ham
is darja hoshiyār to pahle kabhī na the
ab kyuuñ qadam qadam pe sambhalne lage haiñ ham
ho jaate haiñ udaas ki jab dopahar ke ba.ad
sūraj pukārtā hai ki Dhalne lage haiñ ham
aisā nahīñ ki barf kī mānind hoñ magar
lagtā hai yuuñ ki jaise pighalne lage haiñ ham
ā.īna dekhne kī zarūrat na thī koī
ḳhud jānte the ham ki badalne lage haiñ ham
is kā yaqīn aaj bhalā kis ko aa.egā
ik dhīmī dhīmī aañch meñ jalne lage haiñ ham
sach pūchhiye to is kī hameñ ḳhud ḳhabar nahīñ
mausam badal gayā ki badalne lage haiñ ham