jī kā janjāl hai ishq miyāñ qissa ye tamām karo 'vālī'
baḌī raat ga.ī ab so jaao kuchh der ārām karo 'vālī'
sab jāgne vaale rātoñ ke shab-zinda-dār nahīñ hote
tum apne saath meñ auroñ kī kyuuñ niiñd harām karo 'vālī'
sab bichhḌe sāthī mil jaa.eñ murjhā.eñ chehre khil jaa.eñ
sab chaak diloñ ke sil jaa.eñ koī aisā kaam karo 'vālī'
kyuuñ ghabrā.e ghabrā.e ho kyuuñ uktā.e uktā.e ho
ik muddat ke ba.ad aa.e ho kuchh din to qayām karo 'vālī'
ham daarā haiñ na sikandar haiñ darvesh haiñ mast qalandar haiñ
chāho to hamāre saath basar tum bhī ik shaam karo 'vālī'
jab bhuul ga.e tum yāroñ ko apne pyāroñ dil-dāroñ ko
phir shahr ke mansab-dāroñ ko jhuk ke salām karo 'vālī'
tum nāhaq bhes badalte ho ham ko yūñhī achchhe lagte ho
kyuuñ qashqa khīñcho dair meñ baiTho tark-e-islām karo 'vālī'