Wali Aasi

ba-rang-e-naghma bikhar jaana chahte hain hum

Wali Aasi

ba-rañg-e-naġhmā bikhar jaanā chāhte haiñ ham
kisī ke dil meñ utar jaanā chāhte haiñ ham
zamāna aur abhī Thokareñ lagā.e hameñ
abhī kuchh aur sañvar jaanā chāhte haiñ ham
usī taraf hameñ jaane se roktā hai koī
vo ek samt jidhar jaanā chāhte haiñ ham
vahāñ hamārā koī muntazir nahīñ phir bhī
hameñ na rok ki ghar jaanā chāhte haiñ ham
nadī ke paar khaḌā hai koī charāġh liye
nadī ke paar utar jaanā chāhte haiñ ham
unheñ bhī jiine ke kuchh tajrabe hue hoñge
jo kah rahe haiñ ki mar jaanā chāhte haiñ ham
kuchh is adā se ki koī charāġh bhī na bujhe
havā kī tarah guzar jaanā chāhte haiñ ham
ziyāda umr to hotī nahīñ guloñ kī magar
guloñ kī tarah nikhar jaanā chāhte haiñ ham
Top Urdushayar.com