Sabir Zafar

sab sitam yaad hain sari hamdardiyan yaad hain

Sabir Zafar

1949
sab sitam yaad haiñ saarī hamdardiyāñ yaad haiñ
is zamīñ ke makīnoñ ko saat āsmāñ yaad haiñ
mujh ko afsos hai maiñ judā ho rahā huuñ magar
ai musāfir mujhe terī sab nekiyāñ yaad haiñ
maiñ vahāñ ab nahīñ huuñ to kyā hai ki ab tak mujhe
vo makāñ us ke darvāze aur khiḌkiyāñ yaad haiñ
jin meñ barbād hone ko jī chāhtā hai bahut
mujh ko aisī bhī chand ek ābādiyāñ yaad haiñ
jāntā huuñ 'zafar' ye ghaḌī bhuul jaane kī hai
phir bhī saare shukūk aur saare gumāñ yaad haiñ
Top Urdushayar.com