yuuñ to hañste hue laḌkoñ ko bhī ġham hotā hai
kachchī umroñ meñ magar tajraba kam hotā hai
cigareteñ chaa.e dhuāñ raat ga.e tak bahseñ
aur koī phuul sā āñchal kahīñ nam hotā hai
is tarah roz ham ik ḳhat use likh dete haiñ
ki na kāġhaz na siyāhī na qalam hotā hai
ek ek lafz tumhārā tumheñ ma.alūm nahīñ
vaqt ke khurdure kāġhaz par raqam hotā hai
vaqt har zulm tumhārā tumheñ lauTā degā
vaqt ke paas kahāñ rahm-o-karam hotā hai
fāsla izzat o rusvā.ī meñ 'vālī'-sāhab
sunte aa.e haiñ ki bas chand qadam hotā hai