maiñ jab chhoTā sā thā kāġhaz pe ye manzar banātā thā
khujūroñ ke daraḳhtoñ ke tale ik ghar banātā thā
maiñ āñkheñ band kar ke sochtā rahtā thā pahroñ tak
ḳhayāloñ meñ bahut nāzuk sā ik paikar banātā thā
maiñ akasr āsmāñ ke chāñd taare toḌ laatā thā
aur ik nannhī sī guḌiyā ke liye zevar banātā thā
uḌā kar roz le jaatī thiiñ maujeñ mere ḳhvāboñ ko
magar maiñ bhī gharauñde roz sāhil par banātā thā
mirī bastī meñ mere ḳhuun ke pyāse the sab lekin
na maiñ talvār gaḌhtā thā na maiñ ḳhanjar banātā thā
hidāyat-kār is duniyā ke nāTak meñ mujhe 'vālī'
kabhī hero banātā thā kabhī joker banātā thā