bahut din se koī manzar banānā chāhte haiñ ham
ki jo kuchh kah nahīñ sakte dikhānā chāhte haiñ ham
hamāre shahr meñ ab har taraf vahshat barastī hai
so ab jañgal meñ apnā ghar banānā chāhte haiñ ham
hameñ anjām bhī ma.alūm hai lekin na jaane kyuuñ
charāġhoñ ko havāoñ se bachānā chāhte haiñ ham
na jaane kyuuñ gale meñ chīḳh ban jaatī haiñ āvāzeñ
kabhī tanhā.ī meñ jab gungunānā chāhte haiñ ham
koī āsāñ nahīñ sachchā.ī se āñkheñ milā lenā
magar sachchā.ī se āñkheñ milānā chāhte haiñ ham
kabhī bhūle se bhī ab yaad bhī aatī nahīñ jin kī
vahī qisse zamāne ko sunānā chāhte haiñ ham