phir vahī reg-e-bayābāñ kā hai manzar aur ham
phir muqābil meñ hai ik zālim kā lashkar aur ham
raat ko pichhle pahar koī bulātā hai hameñ
aur lipaT kar roz so jaate haiñ chādar aur ham
zaḳhm-e-sar kī dāstāñ ab yaad bhī aatī nahīñ
āshnā the kis qadar pahle ye patthar aur ham
ab to ik muddat se haiñ dīvār-o-dar kī qaid meñ
saath rahte the kabhī sahrā samundar aur ham
sirf bachchoñ kī mohabbat meñ ye rusvā.ī huī
varnā sāhil par banāte ret kā ghar aur ham
rāhgīroñ ne hameñ pahchān kar sikke diye
haath phailā.e khaḌe the jab sikandar aur ham
ye havelī bhī kabhī ābād to hogī magar
ab yahāñ muddat se rahte haiñ kabūtar aur ham
rahnumā.ī ke liye koī sitāra bhej de
kab talak bhaTkeñge yūñhī ḳhāk-bar-sar aur ham