bhūle-bisre hue ġham yaad bahut kartā hai
mere andar koī fariyād bahut kartā hai
roz aatā hai jagātā hai Darātā hai mujhe
tañg mujh ko mirā ham-zād bahut kartā hai
mujh se kahtā hai ki kuchh apnī ḳhabar le baabā
dekh tū vaqt ko barbād bahut kartā hai
niklī jaatī hai mire paañv ke nīche se zamīñ
āsmāñ bhī sitam ījād bahut kartā hai
kuchh to ham sabr o razā bhuul ga.e haiñ shāyad
aur kuchh zulm bhī sayyād bahut kartā hai
us ke jaisā to koī chāhne vaalā hī nahīñ
kar ke pāband jo āzād bahut kartā hai
bastiyoñ meñ vo kabhī ḳhaak uḌā detā hai
kabhī sahrāoñ ko ābād bahut kartā hai
ġham ke rishtoñ ko kabhī toḌ na denā 'vālī'
ġham ḳhayāl-e-dil-e-nā-shād bahut kartā hai