tujh se bichhaḌ ke yuuñ to bahut jī udaas hai
lekin ye lag rahā hai ki tū mere paas hai
dariyā dikhā.ī detā hai har ek reg-zār
shāyad ki in dinoñ mujhe shiddat kī pyaas hai
hairat se sab ko takte haiñ patthar bane hue
jādūgaroñ ke shahr meñ apnā nivās hai
tum ko sunā rahā hai latīfe jo raat din
vo aadmī to tum se ziyāda udaas hai
vīrāñ hai merā ghar bhī usī tarah dosto
college meñ jis tarah koī urdu class hai
pūchho koī savāl milegā ġhalat javāb
'vālī' har ek shaḳhs yahāñ bad-havās hai