Ahmad Mushtaq

malal-e-dil se ilaj-e-gham-e-zamana kiya

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
malāl-e-dil se ilāj-e-ġham-e-zamāna kiyā
ziyā-e-mehr se raushan charāġh-e-ḳhāna kiyā
sahar huī to vo aa.e laToñ ko chhaTkāte
zarā ḳhayāl-e-pareshāni-e-sabā na kiyā
hazār shukr ki ham maslahat-shanās na the
ki ham ne jis se kiyā ishq vālehāna kiyā
vo jis ke lutf meñ begānagī bhī shāmil thī
usī ne aaj guzar dil se mahramāna kiyā
vo bazm-e-harf ho yā mahfil-e-samā-e-ḳhayāl
jahāñ bhī vajd kiyā ham ne be-tarāna kiyā
Top Urdushayar.com