mil bhī jaate haiñ to katrā ke nikal jaate haiñ
haa.e mausam kī tarah dost badal jaate haiñ
ham abhī tak haiñ giraftār-e-mohabbat yaaro
Thokareñ khā ke sunā thā ki sambhal jaate haiñ
vo kabhī apnī jafā par na huā sharminda
ham samajhte rahe patthar bhī pighal jaate haiñ
umr-bhar jin kī vafāoñ pe bharosa kiije
vaqt paḌne pe vahī log badal jaate haiñ
is taġhāful pe ye aalam ki har ik mahfil se
vo bhī gaate hue 'vālī' kī ġhazal jaate haiñ