ham jo din-rāt ye itr-e-dil-o-jāñ khīñchte haiñ
naf.a kam karte haiñ ai yaar ziyāñ khīñchte haiñ
sochne ke liye mauzū-e-suḳhan koī nahīñ
sub.h se shaam talak sirf dhuāñ khīñchte haiñ
maiñ ne muddat se koī sach bhī nahīñ bolā hai
phir mujhe daar pe kyuuñ ahl-e-jahāñ khīñchte haiñ
ab bhī rahte haiñ bahut aise bahādur jo yahāñ
duudh piite hue bachchoñ pe kamāñ khīñchte haiñ
vo musāhib jo zabāñ kholte Darte the kabhī
ab vahī mere buzurgoñ kī zabāñ khīñchte haiñ
mere qātil mujhe pahchān ga.e haiñ shāyad
varna kyuuñ jism se yuuñ nok-e-sināñ khīñchte haiñ
rahguzāroñ kī havā kā to maiñ jāñdāda na thā
kyuuñ mirī na.ash ko galiyoñ meñ yahāñ khīñchte haiñ