Wali Aasi

hum apne-ap pe bhi zahir kabhi dil ka haal nahin karte

Wali Aasi

ham apne-āp pe bhī zāhir kabhī dil kā haal nahīñ karte
chup rahte haiñ dukh sahte haiñ koī rañj-o-malāl nahīñ karte
ham jo kuchh haiñ ham jaise vaise hī dikhā.ī dete haiñ
chehre pe bhabhūt nahīñ malte kabhī kaale baal nahīñ karte
ham haar ga.e tum jiit ga.e ham ne khoyā tum ne paayā
in chhoTī chhoTī bātoñ kā ham koī ḳhayāl nahīñ karte
tere dīvāne ho jaate kahīñ sahrāoñ meñ kho jaate
dīvār-o-dar meñ qaid hameñ agar ahl-o-ayāl nahīñ karte
tirī marzī par ham raazī haiñ jo tū chāhe so ham chāheñ
ham hijr kī fikr nahīñ karte ham zikr-e-visāl nahīñ karte
hameñ tere sivā is duniyā meñ kisī aur se kyā lenā-denā
ham sab ko javāb nahīñ dete ham sab se savāl nahīñ karte
ġhazloñ meñ hamārī boltā hai vahī kānoñ meñ ras gholtā hai
vahī band kivāḌ kholtā hai ham koī kamāl nahīñ karte
Top Urdushayar.com