musalsal yaad aatī hai chamak chashm-e-ġhazālāñ kī
akelī zaat hai aur raat hai jañgal bayābāñ kī
zarā dekho havā-e-sub.h kaise khīñch laa.ī hai
akelī pañkhuḌī meñ dilkashī saare gulistāñ kī
inhīñ galiyoñ meñ khulte the mulāqātoñ ke darvāze
inhīñ galiyoñ meñ chaltī haiñ havā.eñ shām-e-hijrāñ kī
koī zarre ko zarra hī samajh kar chhoḌ detā hai
kisī ko sūjhtī hai is se ta.amīr-e-bayābāñ kī
ye vo mausam hai jis meñ koī pattā bhī nahīñ hiltā
dil-e-tanhā uThātā hai sa.ūbat shām-e-hijrāñ kī
yahī kaafī hai dil se muddatoñ kā bojh to utrā
chalo is chashm-e-giryāñ ne koī mushkil to āsāñ kī
sitāre dard kī āvāz se ġhāfil nahīñ rahte
dam-e-āhū se raushan mish.aleñ reg-e-bayābāñ kī