maiñ apne saa.e se sūraj khā saktā huuñ
lekin kyā maiñ aur ik sūraj lā saktā huuñ
bas ik vaqt kī Dorī haath mire aa jaa.e
barsoñ aage sadiyoñ pīchhe jā saktā huuñ
chāñd to ik qirtās hai mere fan kī ḳhātir
jo bhī chāhūñ us par naqsh banā saktā huuñ
jhuuT kabhī hote hoñge aise da.ave par
aaj maiñ sach-much taare toḌ ke lā saktā huuñ
yūñhī nahīñ kahtā hai chāñd mirā ham-sāya
ik dīvār phalāñg ke us par jā saktā huuñ
tū apne dil kī dhaḌkan kāġhaz par likh de
tujh ko is meñ apnā-āp dikhā saktā huuñ
maiñ ne to sab rāgoñ kī shakleñ dekhī haiñ
tujh ko dekh ke bhī ik raag meñ gā saktā huuñ
maiñ ne dānista ḳhud ko gum kar rakkhā hai
jab bhī chāhūñ apnā khoj lagā saktā huuñ