Riyaz Saghar

dil jo ghabraya to uTh kar doston mein aa gaya

Riyaz Saghar

Haripur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1952
dil jo ghabrāyā to uTh kar dostoñ meñ aa gayā
maiñ ki ā.īna thā lekin pattharoñ meñ aa gayā
aaj us ke baal bhī gard-e-safar se aT ga.e
aaj vo ghar se nikal kar rāstoñ meñ aa gayā
paḌh rahā huuñ us kitāb-e-jism kī ik ik varaq
nuur sab āñkhoñ kā khiñch kar uñgliyoñ meñ aa gayā
log kahte haiñ ki apnā shahr hai lekin mujhe
yuuñ gumāñ hotā hai jaise dushmanoñ meñ aa gayā
ham bhare bāzār meñ us vaqt suulī par chaḌhe
shahr saarā TuuT kar jab khiḌkiyoñ meñ aa gayā
shab-zadoñ ne raushnī māñgī to sūraj daf.atan
āsmānoñ se utar kar bastiyoñ meñ aa gayā
jab sameTā maiñ ne apne reza reza jism ko
aur bhī kuchh zor 'sāġhar' āñdhiyoñ meñ aa gayā
Top Urdushayar.com