Ahmad Mushtaq

ruKHsat-e-shab ka saman pahle kabhi dekha na tha

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
ruḳhsat-e-shab kā samāñ pahle kabhī dekhā na thā
itnā raushan āsmāñ pahle kabhī dekhā na thā
duur tak phailā huā sahrā nazar aayā mujhe
ek zarra bhī jahāñ pahle kabhī dekhā na thā
dīdanī thā mauj-e-dariyā kā nashāt be-panāh
jalva-e-āb-e-ravāñ pahle kabhī dekhā na thā
ahl-e-duniyā to hamesha hī se aise the magar
ishq itnā nā-tavāñ pahle kabhī dekhā na thā
dil pareshāñ ho gayā rañg-e-zavāl-e-husn se
aag dekhī thī dhuāñ pahle kabhī dekhā na thā
is qadar hairāñ na ho āñkhoñ meñ aañsū dekh kar
tujh ko itnā mehrbāñ pahle kabhī dekhā na thā
Top Urdushayar.com