Shaayar Lakhnavi

apni talab ka nam Dubone kyun jaen mai-KHane tak

Shaayar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1917-1989
apnī talab kā naam Dubone kyuuñ jaa.eñ mai-ḳhāne tak
tishna-labī kā ik dariyā hai shīshe se paimāne tak
husn o ishq kā soz-e-ta.alluq samtoñ kā pāband nahīñ
akasr to ḳhud sham.a kā sho.ala baḌh ke gayā parvāne tak
rāh-e-talab ke pech-o-ḳham kā andāza āsān nahīñ
ahl-e-ḳhirad kyā chiiz haiñ rasta bhuul ga.e dīvāne tak
saaqī ko ye ḳhush-fahmī thī ham tak mauj na aa.egī
pyaas kā jab paimāna chhalkā Duub ga.e mai-ḳhāne tak
miTTī se jab phuul khilā.e kār-e-junūñ kī mehnat ne
shahr kuchh is andāz se phaile jā pahuñche vīrāne tak
zaḳhm-e-hunar kā rañg salāmat sab ko ḳhabar ho jā.egī
kitne chehre ham ne tarāshe haath qalam ho jaane tak
is ġhurbat kī dhuup meñ 'shā.ir' apnoñ kā saaya bhī na thā
jis ġhurbat kī dhuup meñ ham ko yaad aa.e begāne tak
Top Urdushayar.com