ik tabassum se ham ne rok liye
vaar jitne ġham-e-jahāñ ne kiye
kah rahe haiñ havā se rāz-e-chaman
koī ġhunchoñ ke bhī to hoñT siye
kaif kyā chiiz hai ḳhumār hai kyā
ye samajh kar sharāb kaun piye
ḳhatm jab ho ga.iiñ tamannā.eñ
ham na.e hausloñ ke saath jiye
ruḳh havā kā badal gayā shāyad
ghar ke bāhar bhī jal rahe haiñ diye
phuul ḳhud ho ga.e garebāñ-chāk
mausam-e-gul ke chaak kaun siye
apne dil par sajā liye 'shā.ir'
zaḳhm ham ko jo us nazar ne diye