jehl ko ilm kā me.aar samajh lete haiñ
log saa.e ko bhī dīvār samajh lete haiñ
chheḌ kar jab bhī kisī zulf ko tū aatī hai
ai sabā ham tirī raftār samajh lete haiñ
tū faqat jaam kā mafhūm samajh ai saaqī
tishnagī kyā hai ye mai-ḳhvār samajh lete haiñ
ham ki haiñ jumbish-e-abrū kī zabāñ se vāqif
tere khiñchne ko bhī talvār samajh lete haiñ
ab kisī barhamī-e-zulf kā charchā na karo
log apne ko giraftār samajh lete haiñ
jo bhī bāzār meñ dam-bhar ko Thahar jaatā hai
sāda-dil us ko ḳharīdār samajh lete haiñ
dil ke asrār chhupāte haiñ vo ham se 'shā.ir'
ham ki rañg-e-lab-o-ruḳhsār samajh lete haiñ