Shaayar Lakhnavi

un ka gham bhi na raha pas to phir kya hoga

Shaayar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1917-1989
un kā ġham bhī na rahā paas to phir kyā hogā
luT ga.ī daulat-e-ehsās to phir kyā hogā
kaun tā-sub.h jalā.egā tamannā ke charāġh
shaam se TuuT ga.ī aas to phir kyā hogā
jin kī duurī meñ vo lazzat hai ki betāb hai dil
aa ga.e vo jo kahīñ paas to phir kyā hogā
tum se zinda hai tamannā-e-mazāq-e-ehsās
tum hue dushman-e-ehsās to phir kyā hogā
dil ġham-e-dost pe maġhrūr bahut hai lekin
ġham bhī aayā na agar raas to phir kyā hogā
apnī maḳhmūr nigāhoñ ko na do izn-e-ḳhirām
baḌh ga.ī aur agar pyaas to phir kyā hogā
ham pareshāñ the pareshāñ haiñ pareshāñ hoñge
tum ko aa.ī na ḳhushī raas to phir kyā hogā
azmat-e-ishq hai ḳhuddārī-e-dil tak 'shā.er'
bujh gayā sho.ala-e-ehsās to phir kyā hogā
Top Urdushayar.com