Shaayar Lakhnavi

hawa ko aur bhi kuchh tez kar gae hain log

Shaayar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1917-1989
havā ko aur bhī kuchh tez kar ga.e haiñ log
charāġh le ke na jaane kidhar ga.e haiñ log
safar ke shauq meñ itne azaab jhele haiñ
ki ab to qasd-e-safar hī se Dar ga.e haiñ log
dhuāñ dhuāñ nazar aatī haiñ shahr kī galiyāñ
sunā hai aaj sar-e-shām ghar ga.e haiñ log
jahāñ se nikle haiñ raste musāfiroñ ke liye
makān aise bhī ta.amīr kar ga.e haiñ log
kabhī kabhī to judā.ī kī lazzateñ de kar
rafāqatoñ meñ nayā rañg bhar ga.e haiñ log
malāl-e-tark-e-ta.alluq na jaane kyā hotā
ḳhayāl-e-tark-e-ta.alluq se mar ga.e haiñ log
ġhurūr tund havāoñ kā yuuñ bhī toḌā hai
charāġh haath pe rakh kar guzar ga.e haiñ log
koī javāb nahīñ fikr kī bulandī kā
zamīñ pe rah ke bhī aflāk par ga.e haiñ log
qarīb the to faqat vāsta thā āñkhoñ se
judā hue haiñ to dil meñ utar ga.e haiñ log
ye aur baat ki ghar bujh ga.e haiñ ai 'shā.er'
magar vatan meñ charāġhāñ to kar ga.e haiñ log
Top Urdushayar.com