jo ġham-e-habīb se duur the vo ḳhud apnī aag meñ jal ga.e
jo ġham-e-habīb ko pā ga.e vo ġhamoñ se hañs ke nikal ga.e
jo thake thake se the hausle vo shabāb ban ke machal ga.e
jo nazar nazar se gale milī to bujhe charāġh bhī jal ga.e
na ḳhizāñ meñ hai koī tīrgī na bahār meñ koī raushnī
ye nazar nazar ke charāġh haiñ kahīñ bujh ga.e kahīñ jal ga.e
ġham-e-aish-o-yās-o-umīd kā na asar hayāt pe ho sakā
mirī rūh-e-ishq vahī rahī ye libās the jo badal ga.e
na hai 'shā.ir' ab ġham-e-nau-ba-nau na vo dāġh-e-dil na vo tāzgī
jinheñ e'timād-e-bahār thā vahī phuul rañg badal ga.e