Shaayar Lakhnavi

nind se aankh wo mil kar jage

Shaayar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1917-1989
niiñd se aañkh vo mil kar jaage
kitne so.e hue manzar jaage
kis kī ḳhātir hai pareshāñ tirī zulf
ham isī fikr meñ shab bhar jaage
zarb-e-tesha kī sadā thī kaisī
aañkh malte hue patthar jaage
yuuñ bhī guzre haiñ shab-o-roz ki ham
niiñd kī fikr meñ akasr jaage
tishnagī ne jo nichoḌā dāman
karvaTeñ le ke samundar jaage
saikḌoñ rañg haiñ āñkhoñ meñ magar
zehn meñ ek hī paikar jaage
ḳhvāb kā jashn manāne ke liye
log sunte haiñ ki ghar ghar jaage
ham ne kāġhaz pe likhā naam tirā
harf o ma.anī ke muqaddar jaage
un ko bedār na kahiye 'shā.er'
log jo ḳhvāb ke andar jaage
Top Urdushayar.com