Shaayar Lakhnavi

nafas nafas pe naya soz-e-agahi rakhna

Shaayar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1917-1989
nafas nafas pe nayā soz-e-āgahī rakhnā
kisī kā dard bhī ho aañkh meñ namī rakhnā
vo tishna-lab huuñ ki merī anā kā hai me.aar
samundaroñ se bhī paimān-e-tishnagī rakhnā
rafāqatoñ ke tasalsul se jī na bhar jaa.e
judā.iyoñ kā bhī mausam kabhī kabhī rakhnā
vafā kisī pe koī qarz to nahīñ hotī
jo ho sake to hamārā ḳhayāl bhī rakhnā
kahīñ sitam ke añdhere na ruuh ko Das leñ
fasīl-e-jism pe zaḳhmoñ kī raushnī rakhnā
charāġh-e-sub.h sahī ham hamāre maslak meñ
ravā nahīñ hai añdheroñ se dostī rakhnā
ajiib shaḳhs hai vo bhī ki us ko aatā hai
gurez meñ bhī adā-e-supurdagī rakhnā
ta.alluqāt meñ raḳhne bhī Daal detā hai
har aadmī se umīdeñ na.ī na.ī rakhnā
hamārā kaam hai harfoñ ko raushnī de kar
ḳhud apne zarf meñ chiñgāriyāñ dabī rakhnā
havā-e-shab kā nahīñ e.atibār ai 'shā.ir'
hazār niiñd ho āñkheñ magar khulī rakhnā
Top Urdushayar.com