aañsū sho.aloñ meñ Dhal rahe haiñ
ġham dil kī fazā badal rahe haiñ
gulshan hai unhīñ kā gul unhīñ ke
kāñToñ pe jo hañs ke chal rahe haiñ
ek ek nafas meñ raushnī hai
yādoñ ke charāġh jal rahe haiñ
chup chup sī hai talḳhī-e-zamāna
ġham jām-o-subū meñ Dhal rahe haiñ
miT miT ke ubhar rahī hai duniyā
bujh bujh ke charāġh jal rahe haiñ
allāh re etibār-e-hastī
ham ḳhvāb meñ jaise chal rahe haiñ
is samt bhī gardish-e-zamāna
kuchh log abhī sambhal rahe haiñ
sāhil pe unhīñ kā haq hai 'shā.ir'
tūfāñ kā jo ruḳh badal rahe haiñ