Shaayar Lakhnavi

jo thake thake se the hausle wo shabab ban ke machal gae

Shaayar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1917-1989
jo thake thake se the hausle vo shabāb ban ke machal ga.e
vo nazar nazar se gale mile to bujhe charāġh bhī jal ga.e
ye shikast-e-dīd kī karvaTeñ bhī baḌī latīf o jamīl thiiñ
maiñ nazar jhukā ke taḌap gayā vo nazar bachā ke nikal ga.e
na ḳhizāñ meñ hai koī tīrgī na bahār meñ koī raushnī
ye nazar nazar ke charāġh haiñ kahīñ bujh ga.e kahīñ jal ga.e
jo sambhal sambhal ke bahak ga.e vo fareb-ḳhurda-e-rāh the
vo maqām-e-ishq ko pā ga.e jo bahak bahak ke sambhal ga.e
jo khile hue haiñ ravish ravish vo hazār husn-e-chaman sahī
magar un guloñ kā javāb kyā jo qadam qadam pe kuchal ga.e
na hai 'shā.ir' ab ġham-e-nau-ba-nau na vo dāġh-e-dil na vo aarzū
jinheñ e'timād-e-bahār hai vahī phuul rañg badal ga.e
Top Urdushayar.com