baiTh jaatā thā maiñ thak kar apne tan kī chhāñv meñ
ek ghar hotā thā apne naam kā us gaañv meñ
qatre qatre ko tarastā hī rahā maiñ umr bhar
go safar kartā rahā maiñ umr bhar dariyāoñ meñ
mar ke jiitā thā kabhī maiñ jī ke martā thā kabhī
ḳhush-nasībī thī safar kartā thā do duniyāoñ meñ
dekhtī āñkhoñ se ham chup-chāp sunte hī rahe
guftugū jaarī thī rañg-e-gul pe nā-bīnāoñ meñ
shahr meñ rahte hue tanhā.ī kā ye haal thā
maiñ ghirā rahtā thā jaise be-karāñ sahrāoñ meñ
jis shajar ko kaaT kar us ne haTāyā raah se
rah chukā thā vo shajar us ke karam-farmāoñ meñ
ḳhvāb meñ 'ālam' ne auj-e-arsh tak parvāz kī
aur jaage to vahī chakkar thā apne paañv meñ