marham-e-zaḳhm-e-jigar ho jaa.e
ek aisī bhī nazar ho jaa.e
ik ishāra bhī agar ho jaa.e
is shab-e-ġham kī sahar ho jaa.e
sub.h ye fikr ki ho jaa.e shaam
shaam ko ye ki sahar ho jaa.e
ho na itnā bhī pareshāñ koī
ki zamāne ko ḳhabar ho jaa.e
yuuñ to jo kuchh bhī kisī par guzre
dil na afsurda magar ho jaa.e
fikr-e-fardā bhī kareñge 'hairat'
pahle ye shab to basar ho jaa.e