Ahmad Mushtaq

pani mein aks aur kisi aasman ka hai

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
paanī meñ aks aur kisī āsmāñ kā hai
ye naav kaun sī hai ye dariyā kahāñ kā hai
dīvār par khile haiñ na.e mausamoñ ke phuul
saaya zamīn par kisī pichhle makāñ kā hai
chāroñ taraf haiñ sabz salāḳheñ bahār kī
jin meñ ghirā huā koī mausam ḳhizāñ kā hai
sab kuchh badal gayā hai tah-e-āsmāñ magar
bādal vahī haiñ rañg vahī āsmāñ kā hai
dil meñ ḳhayāl-e-shahr-e-tamannā thā jis jagah
vaañ ab malāl ik safar-e-rā.egāñ kā hai
Top Urdushayar.com