vo jise dīda-varī kahte haiñ
ham use be-basarī kahte haiñ
naam us kā hai agar bā-ḳhabarī
phir kise be-ḳhabarī kahte haiñ
ye agar lutf-o-karam hai to kise
jaur-o-be-dād-garī kahte haiñ
kyā isī kār-e-nazar-bandī ko
husn kī jalvagarī kahte haiñ
gul ke aurāq pe kāñToñ kā gumāñ
kyā ise ḳhush-nazarī kahte haiñ
bahr-e-bīmār davā hai na duā
kyā ise chāragarī kahte haiñ
kam kisī ko ye ḳhabar hai ki kise
ranj-e-be-bāl-o-parī kahte haiñ
yās-o-hirmāñ ko ba-alfāz-e-digar
aah kī be-asarī kahte haiñ
naam hai vo bhī jigar-dārī kā
ham jise be-jigarī kahte haiñ
aap ḳhud bhī to gul-andāmoñ ko
huur kahte haiñ parī kahte haiñ
fasl-e-gul hī to hai vo ham jis ko
mausam-e-jāma-darī kahte haiñ
ishq meñ ain hunar-mandī hai
sab jise be-hunarī kahte haiñ
muft kī dard-sarī ko ham bhī
muft kī dard-sarī kahte haiñ
aap se ham se banī hai na bane
aap ḳhushkī ko tarī kahte haiñ
kyā koī baat kabhī ahl-e-junūñ
az-rah-e-nām-varī kahte haiñ
ham pe ye bhī hai ik ilzām ki ham
dāstāñ dard-bharī kahte haiñ
koī ḳhush ho ki ḳhafā ho 'hairat'
ham to har baat kharī kahte haiñ