ab na bahal sakegā dil ab na diye jalā.iye
ishq-o-havas haiñ sab fareb aap se kyā chhupā.iye
us ne kahā ki yaad haiñ rañg tulū-e-ishq ke
maiñ ne kahā ki chhoḌiye ab unheñ bhuul jā.iye
kaise nafīs the makāñ saaf thā kitnā āsmāñ
maiñ ne kahā ki vo samāñ aaj kahāñ se lā.iye
kuchh to surāġh mil sake mausam-e-dard-e-hijr kā
sañg-e-jamāl-e-yār par naqsh koī banā.iye
koī sharar nahīñ bachā pichhle baras kī raakh meñ
ham-nafsān-e-sho.ala-ḳhū aag na.ī jalā.iye