Mirza Maseeta Beg Muntahi

fughan-o-ah hai har-dam pukar rakhta hai

Mirza Maseeta Beg Muntahi

fuġhān-o-āh hai har-dam pukār rakhtā hai
ġhazab meñ jaan dil-e-be-qarār rakhtā hai
gul-e-chaman na dur-e-shāhvār rakhtā hai
bharā bharā jo badan merā yaar rakhtā hai
latīf ruuh kī mānind jism hai kis kā
piyāda kaun vaqār-e-savār rakhtā hai
judā judā hai hasīnān-e-dahr kā andāz
har ek tarah kī har gul bahār rakhtā hai
fareb-e-husn se allāh aadmī ko bachā
chale ye pech to rustam ko maar rakhtā hai
kamāl-e-ishq ko paatā huuñ ḳhāksārī meñ
taraf nasheb ke dariyā guzār rakhtā hai
bahār aa.ī hai bint-ul-inab pe joban hai
girah meñ daam koī bāda-ḳhvār rakhtā hai
sunā hai jab se ki haiñ dafan us meñ āshiq-e-zār
qadam zamīñ pe nahīñ vo nigār rakhtā hai
har ek shīsha-e-sā.at falak ko kahtā hai
ki 'muntahī' se sarāsar ġhubār rakhtā hai
Top Urdushayar.com