Mirza Maseeta Beg Muntahi

mubtala ye dil hua jab yar nanga ho gaya

Mirza Maseeta Beg Muntahi

mubtalā ye dil huā jab yaar nañgā ho gayā
sham.a be-parda huī qurbāñ patañgā ho gayā
gir paḌe ushshāq us kī teġh-e-ḳhūñ-āshām par
kal shahādat ke talab-gāroñ kā dañgā ho gayā
dafn kar ke fātiha paḌh ke mirā bolā vo shoḳh
aaj bīmār-e-mohabbat merā chañgā ho gayā
bazm meñ jal kar kiyā shab rāz-e-ulfat āshkār
sham.a ke mānind parvāna bhī nañgā ho gayā
gir ke us ke kūcha-e-tārīk meñ niklā na dil
pech-e-zulf-e-yār kā mujh ko aḌañgā ho gayā
vasf dair-o-ka.aba kā ham ne judāgāna kiyā
ek hī mazmūn thā fiqara do-rañgā ho gayā
baḌhte baḌhte apnā tūl-e-zindagānī kam huā
ghaTte ghaTte jāma-e-hastī uTañgā ho gayā
ḳhushnumā hai us ruḳh-e-raushan pe kyā ḳhāl-e-siyāh
zeb gulzār-e-iram kā lā-bhujañgā ho gayā
shāh-e-haft-aqlīm se ai dil gadā-e-dahr tak
Dhañg se aayā vahāñ se yaañ kaDhañgā ho gayā
jis qadar vo mujh se bigḌā maiñ bhī bigḌā us qadar
vo huā jaame se bāhar meñ bhī nañgā ho gayā
yuuñ kaheñge yaar iqlīm-e-suḳhan meñ in dinoñ
'muntahī' bhī ek hī kaTTā-dabañgā ho gayā
Top Urdushayar.com