Mirza Maseeta Beg Muntahi

fughan-o-ah se paida kiya dard-e-judai ko

Mirza Maseeta Beg Muntahi

fuġhān-o-āh se paidā kiyā dard-e-judā.ī ko
ġhazab meñ jaan ko Daalā jatā kar āshnā.ī ko
miTāyā pās-e-rusvā.ī se merī āshnā.ī ko
bichhā.ūñ aap kī ismat ko oḌhūñ pārsā.ī ko
na aayā ba.ad-e-murdan bhī lahad par fātiha paḌhne
maiñ itnā bhī na samjhā thā tirī nā-āshnā.ī ko
na dil apnā huā apnā na ik but par huā qaabū
kareñge yaad kiyā ham ai ḳhudā tere ḳhudā.ī ko
kisī mahfil meñ jis dam zikr-e-sham-e-tūr hotā hai
dikhā dete haiñ vo jal kar sar-añgusht-e-hinā.ī ko
faqīr-e-be-navā us ke dar-e-daulat kā hai banda
ġhanīmat jānte haiñ shaah tak jis kī gadā.ī ko
asar paidā karegī aah apnī yaar ke dil meñ
nishāne tak ḳhudā pahuñchā.egā tīr-e-havā.ī ko
kabhī hai fikr duniyā kī kabhī uqbā kā dhaḌkā hai
utārūñ jāma-e-tan se maiñ kyūñkar is dulā.ī ko
garebāñ haath aatā hai na sahrā tak pahuñchtā huuñ
ḳhudā ke vāste dekho mire be-dast-o-pā.ī ko
falak vo tafraqa-parvāz-e-ālam hai dilā sar par
ġhanīmat jāntā huuñ gor tak apnī rasā.ī ko
shikasta-dil haiñ har dam har ghaḌī haiñ jaan ke laale
karūñ kyā nosh-dāro ko maiñ kyā luuñ mūsiyā.ī ko
tamannā-e-dilī ne 'muntahī' khoyā mashīḳhat ko
milāyā ḳhaak meñ dast-e-havas ne mīrzā.ī ko
Top Urdushayar.com