mīThī hai aisī baat us kī
lauñDī hai ik nabāt us kī
samjhā na maiñ ek baat us kī
mujh par kyā kā.enāt us kī
aalam hai be-sabāt ai dil
ik zaat ko hai sabāt us kī
mah us kā hai āftāb us kā
din us kā hai aur raat us kī
kis muñh se karūñ maiñ vasf us kā
hai aql se duur zaat us kī
mimber pe jo bak rahā hai vaa.iz
kab suntā huuñ ḳhair baat us kī
hai daulat-e-husn paas tere
detā nahīñ kyuuñ zakāt us kī
hai jo ki shahīd teġh-e-taslīm
hai misl-e-ḳhizar hayāt us kī
dam de ke na naqd-e-dil ko le-le
chal jaa.e kahīñ na ghaat us kī
jo dil ki hai ġharq bahr-e-duniyā
kyūñkar hogī najāt us kī
dil jaatā hai sū-e-kū-e-qātil
ḳhāliq rakhe hayāt us kī
dam de ke le aayā yaar ko dil
kyā rah ga.ī aaj baat us kī
tanhā nahīñ 'muntahī' kisī jā
taqdīr hai us ke saath us kī