hamesha sair-e-gul-o-lāla-zār baaqī hai
agar baġhal meñ dil-e-dāġh-dār baaqī hai
tufail-e-rūh mirā jism-e-zār baaqī hai
havā ke dam se ye musht-e-ġhubār baaqī hai
baġhair rūh-e-ravāñ jism-e-zār baaqī hai
nikal ga.ī hai savārī ġhubār baaqī hai
bahār meñ tujhe naale sunā.ūñgā bulbul
agar ye zindagī-e-musta.ār baaqī hai
kahūñgā yaar se ik roz haath phailā ke
mujhe bhī hasrat-e-bos-o-kanār baaqī hai
jahāñ ko chashm-e-haqīqat se dekh o ġhāfil
khulī hai aañkh abhī iḳhtiyār baaqī hai
ummīd hai hameñ fardā ho yā pas-fardā
zarūr ho.egī sohbat vo yaar baaqī hai