Mirza Maseeta Beg Muntahi

qatil-e-alam se kya yarana hai

Mirza Maseeta Beg Muntahi

qātil-e-ālam se kyā yārāna hai
dil charāġh-e-gor kā parvāna hai
har makāñ meñ jalva-e-jānāna hai
āshiqoñ kā har jagah afsāna hai
chhīn legā bahr-e-zulf-e-ambarīñ
ye dil-e-sad-chāk rashk-e-shāna hai
log kahte haiñ jise pīr-e-muġhāñ
yaar kā kyā jalva-e-mastāna hai
halqa-e-ādā meñ hai vo sīm-bar
ganj hai jis jā vahāñ vīrāna hai
jis jagah chalte the kal jām-e-sharāb
aaj vaañ ulTā huā paimāna hai
bai.at-e-dast-e-subū se ye khulā
sab se behtar mashrab-e-rindāna hai
kyuuñ na phāñse daulat-e-duniyā hameñ
hai vahāñ par daam jis jā daana hai
mard-e-āḳhir-bīñ ke aage mun.imoñ
kasrat-e-hastī bhī ik vīrāna hai
kaam kyā hai us ko mulk-o-māl se
paas jis ke himmat-e-mardāna hai
hijr meñ ashk-e-musalsal zāhidā
āshiqoñ kā sub.ha-e-sad-dāna hai
'muntahī' zer-e-qadam us yaar ke
sar kaTānā sajda-e-shukrāna hai
Top Urdushayar.com