dair-o-haram ko chhoḌ ke ai dil chal baiTho maiḳhāne meñ
ḳhuub guzar jā.egī apnī saaqī se yārāne meñ
sair tabī.at ho jā.egī nasha jo hai hovegā vahī
farq nahīñ hai saaqī hargiz chullū meñ paimāne meñ
ruuh hai jab tak jism ke andar jism pe mere raunaq hai
kāshāna ābād hai jab tak bulbul hai kāshāne meñ
dast-e-tamannā qat.a huā barbād huī hai hirs-o-havā
ziist kī sūrat apnī bañdhī ai nafs tire mar jaane meñ
sach hai dil ko apne bhī juz yaad sanam kuchh dhyān nahīñ
dekh to ai nāseh kaisī hushyārī hai dīvāne meñ
fikr-e-duniyā se haiñ chhuTe is rañj-e-jahāñ se paa.ī najāt
laakh tarah kī rāhat paa.ī ik apne mar jaane meñ
pesh-e-junūn-e-baḳhta ai dil maut to ziist se ḳhush-tar hai
sham.a ke aage raqs-kunāñ thā parvāna jal jaane meñ
husn-e-nairañg us mah-rū kā dil-e-hazīñ meñ rahtā hai
chashm-e-bīnā ho to dekhe bastī hai vīrāne meñ
naqsh-e-mohabbat kahīñ na paayā lauh-e-dil par insāñ ke
phirā qalam kī sūrat se maiñ barsoñ ik ik ḳhāne meñ