Mirza Maseeta Beg Muntahi

jawani ki haalat guzar jaegi

Mirza Maseeta Beg Muntahi

javānī kī hālat guzar jā.egī
chaḌhī hai jo sar par utar jā.egī
jidhar ko mirī chashm-e-tar jā.egī
udhar kaam dariyā kā kar jā.egī
zamāne kī iizā kā shikva na kar
guzarte guzarte guzar jā.egī
khulegā tujhe ishq-bāzī kā haal
ye hirs-e-havā jabki mar jā.egī
mire jism-e-ḳhākī se ho ke judā
ye rūh-e-ravāñ phir kidhar jā.egī
mire naġhmoñ se andalīb-e-chaman
kahāñ uḌ ke tū musht-e-par jā.egī
tavajjoh tirī o but-e-bevafā
mirā kaam āḳhir ko kar jā.egī
bahār-e-chaman jabki hogī ḳhizāñ
mirī vahshat-e-dil kidhar jā.egī
agar jazba-e-dil pe qaabū rahā
shab-e-vasl kī phir Thahar jā.egī
khiñchī hai jo teġh-e-mohabbat dilā
yahī ek din tere sar jā.egī
chaḌhī hogī kachche ghaḌe kī jise
utarte utarte utar jā.egī
qimār-e-mohabbat meñ gar aah kī
ye jiitī huī baazī har jā.egī
mirī marg aisī hai ai 'muntahī'
ki jis kī adam tak ḳhabar jā.egī
Top Urdushayar.com