sar-sar gesū hilā rahī hai
sar par kaale khilā rahī hai
furqat meñ ḳhuuñ rulā rahī hai
taqdīr ye rañg lā rahī hai
dāġhoñ se dil jalā rahī hai
ulfat sikke biThā rahī hai
dāman meñ hai tere bū-e-kākul
kyuuñ mujh ko sabā uḌā rahī hai
hāl-e-tap-e-hijr kuchh na pūchho
dil khā chukī jaan khā rahī hai
jhelī huī hai jafā tabī.at
barsoñ hī mubtalā rahī hai
kisrā mahal na tāq-e-jam hai
ai dil kis kī sadā rahī hai
martā hai dil butoñ ke uupar
taqdīr pahāḌ Dhā rahī hai
tiflī-o-javānī ḳhuub guzrī
do din achchhī havā rahī hai
uḌtī hai ḳhaak us jagah par
barsoñ jis jā fazā rahī hai
ye bint-e-inab bahār-e-gul meñ
yāroñ kī bhī āshnā rahī hai
laatī nahīñ bū-e-yār nig.hat
us dil kī lagī bujhā rahī hai
ham bhī the kabhī javān rā.anā
apnī bhī kabhī havā rahī hai
khultā nahīñ haal gul kā bulbul
shabnam paanī chuā rahī hai
ye fasl-e-bahār be-ḳhudī kā
rasta ham ko batā rahī hai
gulshan meñ urūs-e-gul ke uupar
shabnam motī luTā rahī hai
phūle nahīñ gul chaman ke andar
vahshat āñkheñ dikhā rahī hai
fiqre se le aa.e us sanam ko
kyuuñ 'muntahī' baat kyā rahī hai